Amdani Mein Izafa Ka Wazifa

Amdani Mein Izafa Ka Wazifa

amdani mein izafa ka wazifa
wazifa to increase income

Kon ha jo ye nahi chahta ke uski amdani mein ghair mamooli izafa ho jaye. Khas tor par jin logo ko tang dasti ka samna hota ha ya jo yaka yak nokri se hath dho beth'te hein. Aesay log jin ki taraqqi nahi hoti, inflation aur deegar zarooraton ki waja se un ka hath tang ho jata ha. In mein se bohat aesay log bhi dekhe gaye hein jo kehte hein ke maali tang dasti ki waja se wo sarkon par bheek mangne par bhi majboor ho jate hein, qarz lete hein lekin phir ada karna mushkil ho jata ha.

Maali halat inhein suicide par majboor kar dete hein. Mojooda halaat mein jab ghar ka 1 fard kamaye ga to maali halaat bilashuba kharab tar rahengay. Aesay tamam log ye Wazifa parha karein, Insha Allah 40 days tak daily sham maghrib ke baad 4100 baar parhna manool bana lein aur Sajday mein sar gira kar 100 baar parhne ke baad Allah se Dua kiya karein.
41 din parhne ke baad daily 100 baar parha karin. Insha Allah murad poori hogi. Agar ghar ke saray afraad mil kar is Waizfa ko daily 11000 parhein aur 1 week tak jari rakhein to bhi murad ke darwazay khul jayengay. Wazifa ye ha Ya Wahabu Ya Razzaqu.

No comments:

Post a Comment